tumhaare aane se kuchh na puchho hamein nai zindagi milegi
tumhāre aane se kuchh na pūchho hameñ na.ī zindagī milegī
qarār dil ko jigar ko rāhat nigāh ko raushnī milegī
bahār-e-tāza jo aa ga.ī hai to zaḳhm ko tāzgī milegī
jigar ko bhī dāġh-e-ġham mileñge nazar ko bhī kuchh namī milegī
haiñ sāz-e-hastī ka.ī tarah ke magar hai maqsūd ek sab kā
alag alag naġhme hoñ to kyā hai sadā to bas ek sī milegī
vafā kī nagrī meñ koī jākar vafā-shi.āroñ kā haal dekhe
dhuāñ dhuāñ se mileñge chehre luTī luTī zindagī milegī
yahī hai dastūr-e-ishq-o-ulfat yahī hai anjām āshiqī kā
hamārī āñkhoñ meñ ashk hoñge laboñ pe un ke hañsī milegī
agar pareshān haal huuñ maiñ to tum ko kyoñ iztirāb hai yuuñ
tumhīñ ne dī badduā ye mujh ko kabhī na tum ko ḳhushī milegī
qadam qadam par lagegī Thokar agar ḳhirad se na kaam loge
agar chaloge sañbhal ke 'nāzī' to raah firdaus kī milegī
tumhaare aane se kuchh na puchho hamein nai zindagi milegi
qarar dil ko jigar ko rahat nigah ko raushni milegi
bahaar-e-taza jo aa gai hai to zaKHm ko tazgi milegi
jigar ko bhi dagh-e-gham milenge nazar ko bhi kuchh nami milegi
hain saz-e-hasti kai tarah ke magar hai maqsud ek sab ka
alag alag naghme hon to kya hai sada to bas ek si milegi
wafa ki nagri mein koi jakar wafa-shiaron ka haal dekhe
dhuan dhuan se milenge chehre luTi luTi zindagi milegi
yahi hai dastur-e-ishq-o-ulfat yahi hai anjam aashiqi ka
hamari aankhon mein ashk honge labon pe un ke hansi milegi
agar pareshan haal hun main to tum ko kyon iztirab hai yun
tumhin ne di baddua ye mujh ko kabhi na tum ko KHushi milegi
qadam qadam par lagegi Thokar agar KHirad se na kaam loge
agar chaloge sanbhal ke 'nazi' to rah firdaus ki milegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.