tumhaare baad bhi sab pe yaqin karte hue
tumhāre baad bhī sab pe yaqīn karte hue
mareñge ham bhī kisī din kisī pe marte hue
kabhī to dekh le khiḌkī se paañv ke chhāle
guzar na jā.ūñ galī se kahīñ guzarte hue
tumheñ to sirf mujhe chhup ke dekhnā hai magar
mujhe to dekhnā hai tum ko ye bhī karte hue
vo aa.ine se achānak vahīñ lipaTne lagī
ḳhayāl merā use aa gayā sañvarte hue
tumhaare baad bhi sab pe yaqin karte hue
marenge hum bhi kisi din kisi pe marte hue
kabhi to dekh le khiDki se panw ke chhaale
guzar na jaun gali se kahin guzarte hue
tumhein to sirf mujhe chhup ke dekhna hai magar
mujhe to dekhna hai tum ko ye bhi karte hue
wo aaine se achanak wahin lipaTne lagi
KHayal mera use aa gaya sanwarte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.