tumhaare bin hamara aashiyan kaisa lagega
tumhāre bin hamārā āshiyāñ kaisā lagegā
binā paanī ke koī bhī kuaañ kaisā lagegā
agar vo chhoḌ de saare gumāñ kaisā lagegā
zamīñ ke saath chaltā āsmāñ kaisā lagegā
mukammal karne meñ jis ko tumhārā ḳhuuñ lagā ho
usī tasvīr se uThtā dhuāñ kaisā lagegā
akele tum agar aa.e kabhī in jangaloñ meñ
to pāoge yahāñ mere nishāñ kaisā lagegā
parindoñ ne agar pūchhā udāsī kā sabab to
sunānī hī paḌegī dāstāñ kaisā lagegā
ye ġhālib ne to chāhā thā magar apnī batāo
jahāñ koī na ho tum ko vahāñ kaisā lagegā
tumhaare bin hamara aashiyan kaisa lagega
bina pani ke koi bhi kuan kaisa lagega
agar wo chhoD de sare guman kaisa lagega
zamin ke sath chalta aasman kaisa lagega
mukammal karne mein jis ko tumhaara KHun laga ho
usi taswir se uThta dhuan kaisa lagega
akele tum agar aae kabhi in jangalon mein
to paoge yahan mere nishan kaisa lagega
parindon ne agar puchha udasi ka sabab to
sunani hi paDegi dastan kaisa lagega
ye ghaalib ne to chaha tha magar apni batao
jahan koi na ho tum ko wahan kaisa lagega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.