tumhaare chehre ki dilkashi se kali guman ki khili hui hai
tumhāre chehre kī dilkashī se kalī gumāñ kī khilī huī hai
tumhārī yādoñ kī bārishoñ se zamīn-e-hijrāñ dhulī huī hai
ye jāgne kī tumhārī aadat abhī talak hai vo pahle jaisī
tumhāre bistar kī ujlī chādar bhī silvaToñ se bharī huī hai
jo ho sake to koī nishānī bataur tohfa hī bhej denā
tumhārī bhejī huī vo tie pahan pahan kar phaTī huī hai
bichhaḌte lamhe chhupā ke sab se jo tum ne bistar pe pheñk dī thī
tumhārī tasvīr tāqche meñ abhī talak vo rakhī huī hai
tumhāre hote hue bhī dekho maiñ ḳhud ko tanhā samajh rahā huuñ
mujhe to lagtā hai ye judā.ī mire badan se silī huī hai
ye mere ahbāb pūchhte haiñ batāo un ko maiñ kyā kahūñ ab
ye kaun laḌkī tumhāre pahlū meñ saj sañvar kar khaḌī huī hai
vo kuchh dinoñ se kisī ke ġham meñ udaas chehra liye hue hai
qasam ḳhudā kī maiñ kyā batā.ūñ mirī to jaañ pe banī huī hai
ki chhoḌo 'dānish' kī baat chhoḌo mujhe sunāo ki kyā likhā hai
vo ḳhaak terī ġhazal sunegā use to apnī paḌī huī hai
tumhaare chehre ki dilkashi se kali guman ki khili hui hai
tumhaari yaadon ki barishon se zamin-e-hijran dhuli hui hai
ye jagne ki tumhaari aadat abhi talak hai wo pahle jaisi
tumhaare bistar ki ujli chadar bhi silwaTon se bhari hui hai
jo ho sake to koi nishani bataur tohfa hi bhej dena
tumhaari bheji hui wo tie pahan pahan kar phaTi hui hai
bichhaDte lamhe chhupa ke sab se jo tum ne bistar pe phenk di thi
tumhaari taswir taqche mein abhi talak wo rakhi hui hai
tumhaare hote hue bhi dekho main KHud ko tanha samajh raha hun
mujhe to lagta hai ye judai mere badan se sili hui hai
ye mere ahbab puchhte hain batao un ko main kya kahun ab
ye kaun laDki tumhaare pahlu mein saj sanwar kar khaDi hui hai
wo kuchh dinon se kisi ke gham mein udas chehra liye hue hai
qasam KHuda ki main kya bataun meri to jaan pe bani hui hai
ki chhoDo 'danish' ki baat chhoDo mujhe sunao ki kya likha hai
wo KHak teri ghazal sunega use to apni paDi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.