tumhaare dard ko marqum kar ke dekhunga
tumhāre dard ko marqūm kar ke dekhūñgā
phir apne aap ko maġhmūm kar ke dekhūñgā
maiñ thak chukā huuñ bahut ab tirī galī kā pata
kisī faqīr se ma.alūm kar ke dekhūñgā
ḳhabar milī hai tire lab shahad se shīrīñ haiñ
yaqīñ nahīñ hai magar chuum kar ke dekhūñgā
kahāñ kahāñ se shikasta kiyā hai logoñ ne
maiñ apne jism ko ab zoom kar ke dekhūñgā
kabhī to va.ada nibhāne kī baat kī hogī
ḳhutūt-e-yār ko maqsūm kar ke dekhūñgā
kisī ke sāmne ā.ūñgā jā-ba-jā aksar
kisī ko diid se mahrūm kar ke dekhūñgā
sunā hai maiñ ne ki tum sādgī pe vaarī ho
so apnī shoḳhiyāñ ma.asūm kar ke dekhūñgā
yahāñ pe kitne adālat pasand rahte haiñ
ġharīb-e-shahr ko mazlūm kar ke dekhūñgā
jamāl-e-yār ko sher-o-suḳhan ke dhāge meñ
qalam kī suuī se manzūm kar ke dekhūñgā
tumhāre saare ḳhad-o-ḳhāl ko bayāñ kar ke
raqam maiñ husn kā mafhūm kar ke dekhūñgā
kutub sajā.ūñgā kamre meñ chār-sū apne
sajā sajā ke unheñ jhuum kar ke dekhūñgā
ḳhudā kare mujhe mil jaa.e ham-safar 'mahvar'
dayār-e-ishq meñ showrōm kar ke dekhūñgā
tumhaare dard ko marqum kar ke dekhunga
phir apne aap ko maghmum kar ke dekhunga
main thak chuka hun bahut ab teri gali ka pata
kisi faqir se malum kar ke dekhunga
KHabar mili hai tere lab shahad se shirin hain
yaqin nahin hai magar chum kar ke dekhunga
kahan kahan se shikasta kiya hai logon ne
main apne jism ko ab zoom kar ke dekhunga
kabhi to wada nibhane ki baat ki hogi
KHutut-e-yar ko maqsum kar ke dekhunga
kisi ke samne aaunga ja-ba-ja aksar
kisi ko did se mahrum kar ke dekhunga
suna hai main ne ki tum sadgi pe wari ho
so apni shoKHiyan masum kar ke dekhunga
yahan pe kitne adalat pasand rahte hain
gharib-e-shahr ko mazlum kar ke dekhunga
jamal-e-yar ko sher-o-suKHan ke dhage mein
qalam ki sui se manzum kar ke dekhunga
tumhaare sare KHad-o-KHal ko bayan kar ke
raqam main husn ka mafhum kar ke dekhunga
kutub sajaunga kamre mein chaar-su apne
saja saja ke unhen jhum kar ke dekhunga
KHuda kare mujhe mil jae ham-safar 'mahwar'
dayar-e-ishq mein showroom kar ke dekhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.