tumhaare daur mein dekhunga jo kahunga main
tumhāre daur meñ dekhūñgā jo kahūñgā maiñ
natīja kuchh bhī ho sach boltā rahūñgā maiñ
lagegī choT to aahoñ kā shor to hogā
jo dil dukhegā to ḳhāmosh kyoñ rahūñgā maiñ
akelā chhoḌ ke jā to rahe ho mujh ko magar
batāte jaao akelā kahāñ rahūñgā maiñ
maiñ kyā karūñ ki yahī fikr hai mujhe har dam
tumhārā sāmnā hogā to kyā kahūñgā maiñ
ki mere ishq meñ jogan banī rahogī tum
tumhāre ishq meñ zāhid banā rahūñgā maiñ
tumhaare daur mein dekhunga jo kahunga main
natija kuchh bhi ho sach bolta rahunga main
lagegi choT to aahon ka shor to hoga
jo dil dukhega to KHamosh kyon rahunga main
akela chhoD ke ja to rahe ho mujh ko magar
batate jao akela kahan rahunga main
main kya karun ki yahi fikr hai mujhe har dam
tumhaara samna hoga to kya kahunga main
ki mere ishq mein jogan bani rahogi tum
tumhaare ishq mein zahid bana rahunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.