tumhaare dil ko mohabbat se KHush-gumaniyan hain
tumhāre dil ko mohabbat se ḳhush-gumāniyāñ haiñ
koī kisī kā nahīñ hai ye sab kahāniyāñ haiñ
tirī ye ruuh hamārī hai Thiik hai lekin
vo jin ke paas tire jism kī nishāniyāñ haiñ
kisī ke saath ta'alluq nahīñ rahā merā
ye tere saath ta'alluq kī mehrbāniyāñ haiñ
na tum rahe na tumhārī kashish rahī phir bhī
hamāre sher meñ kis vāste ravāniyāñ haiñ
bahār-rut meñ akele haiñ devtā mere
ḳhudāyā ḳhair ho jaisī vahāñ javāniyāñ haiñ
bichhaḌ chukā huuñ maiñ lekin vo is gumān meñ hai
hamāre darmiyāñ thoḌī sī bad-gumāniyāñ haiñ
tumhaare dil ko mohabbat se KHush-gumaniyan hain
koi kisi ka nahin hai ye sab kahaniyan hain
teri ye ruh hamari hai Thik hai lekin
wo jin ke pas tere jism ki nishaniyan hain
kisi ke sath ta'alluq nahin raha mera
ye tere sath ta'alluq ki mehrbaniyan hain
na tum rahe na tumhaari kashish rahi phir bhi
hamare sher mein kis waste rawaniyan hain
bahaar-rut mein akele hain dewta mere
KHudaya KHair ho jaisi wahan jawaniyan hain
bichhaD chuka hun main lekin wo is guman mein hai
hamare darmiyan thoDi si bad-gumaniyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.