tumhaare dil mein bhi tufan uTha hai
tumhāre dil meñ bhī tūfāñ uThā hai
hameñ bhī pyaar tum se ho chalā hai
kisī ayyār jaise ho ga.e ho
tumhārā naam mujh ko raT gayā hai
tumhārī baat bhī ab Tālne meñ
mujhe ab ḳhud se laḌnā paḌ rahā hai
'ajab sī kashmakash hai zindagī meñ
ki merā maiñ hī mujh se jā rahā hai
abhī tak maiñ yahāñ par so rahā huuñ
magar piñjre kā panchhī uḌ gayā hai
tumhaare dil mein bhi tufan uTha hai
hamein bhi pyar tum se ho chala hai
kisi ayyar jaise ho gae ho
tumhaara nam mujh ko raT gaya hai
tumhaari baat bhi ab Talne mein
mujhe ab KHud se laDna paD raha hai
'ajab si kashmakash hai zindagi mein
ki mera main hi mujh se ja raha hai
abhi tak main yahan par so raha hun
magar pinjre ka panchhi uD gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.