tumhaare hijr ka manzar tamam samne hai
tumhāre hijr kā manzar tamām sāmne hai
ab apnī umr-e-ravāñ kī jo shaam sāmne hai
ye ishq ek safar hai ḳhalāoñ kā jis meñ
na manzileñ haiñ na koī maqām sāmne hai
mujhe ye lagtā hai har baar dekh kar duniyā
ki jaise koī adhūrā sā kaam sāmne hai
suḳhan pe apne hameñ yuuñ to hai yaqīn bahut
par ab kī baar koī ḳhush-kalām sāmne hai
javāb yuuñ to zamāne ke har savāl kā hai
magar maiñ chup huuñ ki ab terā naam sāmne hai
diloñ ke raaz nahīñ kholte haiñ duniyā par
raho ḳhamosh ki har ḳhaas aam sāmne hai
tumhaare hijr ka manzar tamam samne hai
ab apni umr-e-rawan ki jo sham samne hai
ye ishq ek safar hai KHalaon ka jis mein
na manzilen hain na koi maqam samne hai
mujhe ye lagta hai har bar dekh kar duniya
ki jaise koi adhura sa kaam samne hai
suKHan pe apne hamein yun to hai yaqin bahut
par ab ki bar koi KHush-kalam samne hai
jawab yun to zamane ke har sawal ka hai
magar main chup hun ki ab tera nam samne hai
dilon ke raaz nahin kholte hain duniya par
raho KHamosh ki har KHas aam samne hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.