tumhaare hijr ka sadqa utar phenkta hai
tumhāre hijr kā sadqa utaar pheñktā hai
diler shaḳhs hai ḳhvāhish ko maar pheñktā hai
baḌe baḌoñ ko Thikāne lagā diyā us ne
ye ishq laash bhī sahrā ke paar pheñktā hai
ye kaise shaḳhs ke hāthoñ meñ de diyā ḳhud ko
falak kī samt mujhe baar baar pheñktā hai
maiñ jāntā huuñ mohabbat kī fasl bo.egā
zamīñ pe ashk jo zār-o-qatār pheñktā hai
samay kī tund-mizājī na pūchh mujh se 'hasan'
ye be-lagām har ik shahsavār pheñktā hai
tumhaare hijr ka sadqa utar phenkta hai
diler shaKHs hai KHwahish ko mar phenkta hai
baDe baDon ko Thikane laga diya us ne
ye ishq lash bhi sahra ke par phenkta hai
ye kaise shaKHs ke hathon mein de diya KHud ko
falak ki samt mujhe bar bar phenkta hai
main jaanta hun mohabbat ki fasl boega
zamin pe ashk jo zar-o-qatar phenkta hai
samay ki tund-mizaji na puchh mujh se 'hasan'
ye be-lagam har ek shahsawar phenkta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.