tumhaare hijr ki muddat ghaTa rahi hun main
tumhāre hijr kī muddat ghaTā rahī huuñ maiñ
ghaḌī meñ vaqt ko ulTā ghumā rahī huuñ maiñ
kitāb-e-zindagī maiñ ne agar paḌhī hī nahīñ
kyoñ imtihān kā parcha banā rahī huuñ maiñ
lagā.ī maiñ ne kināre par āñ.suoñ kī sabīl
nadī kī pyaas ko paanī pilā rahī huuñ maiñ
yahī ki dil kī sunī hai dimāġh se pahle
sazā usī kī mohabbat meñ pā rahī huuñ maiñ
sunā hai aur ziyāda sitam karegā tū
so apne zabt kī tāqat baḌhā rahī huuñ maiñ
lagā ke ek alag zaḳhm us ke pahlū meñ
tumhāre zaḳhm ko nīchā dikhā rahī huuñ maiñ
tumhaare hijr ki muddat ghaTa rahi hun main
ghaDi mein waqt ko ulTa ghuma rahi hun main
kitab-e-zindagi main ne agar paDhi hi nahin
kyon imtihan ka parcha bana rahi hun main
lagai main ne kinare par aansuon ki sabil
nadi ki pyas ko pani pila rahi hun main
yahi ki dil ki suni hai dimagh se pahle
saza usi ki mohabbat mein pa rahi hun main
suna hai aur ziyaada sitam karega tu
so apne zabt ki taqat baDha rahi hun main
laga ke ek alag zaKHm us ke pahlu mein
tumhaare zaKHm ko nicha dikha rahi hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.