tumhaare hijr mein KHwab-o-KHayal bhaTke hain
tumhaare hijr mein KHwab-o-KHayal bhaTke hain
Syed Abbas Raza Tanweer
MORE BYSyed Abbas Raza Tanweer
tumhāre hijr meñ ḳhvāb-o-ḳhayāl bhaTke haiñ
kahāñ kahāñ mire dast-e-savāl bhaTke haiñ
phire haiñ gird tire gardish-e-jahāñ kī tarah
misāl-e-roz-o-shab-o-māh-o-sāl bhaTke haiñ
ajab hai kūcha-e-jānāñ ki āḳhir-e-shab meñ
baḌe ġhayūr baḌe bā-kamāl bhaTke haiñ
chaman kī sair ko jaane kā fā.eda kyā hai
guloñ meñ aap hī ke ḳhadd-o-ḳhāl bhaTke haiñ
yahāñ to roz hī manzar hai roz-e-mahshar kā
chahār-samt nishān-e-zavāl bhaTke haiñ
na pūchhe haal koī dasht-e-shauq meñ 'tanvīr'
girebāñ chaak kiye ḳhasta-hāl bhaTke haiñ
tumhaare hijr mein KHwab-o-KHayal bhaTke hain
kahan kahan mere dast-e-sawal bhaTke hain
phire hain gird tere gardish-e-jahan ki tarah
misal-e-roz-o-shab-o-mah-o-sal bhaTke hain
ajab hai kucha-e-jaanan ki aaKHir-e-shab mein
baDe ghayur baDe ba-kamal bhaTke hain
chaman ki sair ko jaane ka faeda kya hai
gulon mein aap hi ke KHadd-o-KHal bhaTke hain
yahan to roz hi manzar hai roz-e-mahshar ka
chahaar-samt nishan-e-zawal bhaTke hain
na puchhe haal koi dasht-e-shauq mein 'tanwir'
gireban chaak kiye KHasta-haal bhaTke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.