tumhaare honT jin ke zikr ki garmi se jalte hain
tumhaare honT jin ke zikr ki garmi se jalte hain
Moid Rahbar Lakhnavi
MORE BYMoid Rahbar Lakhnavi
tumhāre hoñT jin ke zikr kī garmī se jalte haiñ
hamāre jaise dīvāne unhīñ rāhoñ pe chalte haiñ
jinheñ qirtās par lā.ūñ to ik hañgāma ho jaa.e
shab-e-tanhā.ī meñ aksar kuchh aise sher Dhalte haiñ
batāo chain se kaise raheñ ham aisī vaadī meñ
jahāñ gulshan ke rakhvāle hī kaliyoñ ko masalte haiñ
tire aage na apnā sar jhukā.eñ to kahāñ jaa.eñ
ki ham roz-e-azal se hī tire TukḌoñ pe palte haiñ
machal jaatā hai dil vaise hī tum ko dekhne ke baad
khilaunā dekh kar jis tarah se bachche machalte haiñ
pahuñchtī hai maqām-e-intihā par bandagī jis dam
hamāre paañv kī Thokar se bhī chashme ubalte haiñ
tumhārī rahbarī qaa.em rahegī phir bhī ai 'rahbar'
nikal jaane do kuchh logoñ ko gar aage nikalte haiñ
tumhaare honT jin ke zikr ki garmi se jalte hain
hamare jaise diwane unhin rahon pe chalte hain
jinhen qirtas par laun to ek hangama ho jae
shab-e-tanhai mein aksar kuchh aise sher Dhalte hain
batao chain se kaise rahen hum aisi wadi mein
jahan gulshan ke rakhwale hi kaliyon ko masalte hain
tere aage na apna sar jhukaen to kahan jaen
ki hum roz-e-azal se hi tere TukDon pe palte hain
machal jata hai dil waise hi tum ko dekhne ke baad
khilauna dekh kar jis tarah se bachche machalte hain
pahunchti hai maqam-e-intiha par bandagi jis dam
hamare panw ki Thokar se bhi chashme ubalte hain
tumhaari rahbari qaem rahegi phir bhi ai 'rahbar'
nikal jaane do kuchh logon ko gar aage nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.