tumhaare hote hue ghair ka dilasa hai
tumhāre hote hue ġhair kā dilāsa hai
tumheñ pata hai ye kitnā baḌā tamāñcha hai
tamām shahr masīhā hai aur taak meñ hai
magar ye zaḳhm mirā āḳhirī asāsa hai
tire vajūd se aatī huī mahak kī qasam
ye devī lafz tire husn kā ḳhulāsa hai
vo kitnā ḳhush hai bichhaḌte hue maiñ jāntā huuñ
ye jhūT-mūT kā ronā faqat tamāsha hai
ham ishq chhoḌ chuke haiñ so ab ḳhudā ke saath
hameñ ḳhabar hī nahīñ hai ki kaun jaagā hai
tumhaare hote hue ghair ka dilasa hai
tumhein pata hai ye kitna baDa tamancha hai
tamam shahr masiha hai aur tak mein hai
magar ye zaKHm mera aaKHiri asasa hai
tere wajud se aati hui mahak ki qasam
ye dewi lafz tere husn ka KHulasa hai
wo kitna KHush hai bichhaDte hue main jaanta hun
ye jhuT-muT ka rona faqat tamasha hai
hum ishq chhoD chuke hain so ab KHuda ke sath
hamein KHabar hi nahin hai ki kaun jaga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.