tumhaare hukm ki tamil be-KHauf-o-KHatar hogi
tumhāre hukm kī tā'mīl be-ḳhauf-o-ḳhatar hogī
na dāman merā nam hogā na merī aañkh tar hogī
ham ab tak shahr-e-ġham meñ ajnabī haiñ kyā kaheñ tum se
kahāñ par raat guzregī kahāñ par dopahar hogī
ghire haiñ shaam hī se aaj bādal un kī yādoñ ke
mujhe to aisā lagtā hai ye bārish raat bhar hogī
palaT jaa.eñ yahīñ se jin ko apnī jaan pyārī ho
hamārī aaj kī shab kū-e-qātil meñ basar hogī
hayāt-e-sham' ke do ruḳh haiñ aur donoñ hī afsurda
jalegī ye to shab hogī bujhegī to sahar hogī
tumhārī bazm se uTh kar bahut māyūs aa.e ham
ga.e the is tavaqqo' par ki taskīn-e-nazar hogī
mohabbat ke safar meñ ḳhvāhish-e-takmīl kyā mā'nī
yahāñ takmīl kī ḳhvāhish bhī tauhīn-e-safar hogī
misāloñ ke liye jis se chuneñge log tahrīreñ
vo merī zindagānī kī kitāb-e-mo'tabar hogī
ḳhabar kyā thī 'razī' ulfat meñ aisā vaqt aa.egā
ki din guzregā hañs kar raat ro ro ke basar hogī
tumhaare hukm ki ta'mil be-KHauf-o-KHatar hogi
na daman mera nam hoga na meri aankh tar hogi
hum ab tak shahr-e-gham mein ajnabi hain kya kahen tum se
kahan par raat guzregi kahan par dopahar hogi
ghire hain sham hi se aaj baadal un ki yaadon ke
mujhe to aisa lagta hai ye barish raat bhar hogi
palaT jaen yahin se jin ko apni jaan pyari ho
hamari aaj ki shab ku-e-qatil mein basar hogi
hayat-e-sham' ke do ruKH hain aur donon hi afsurda
jalegi ye to shab hogi bujhegi to sahar hogi
tumhaari bazm se uTh kar bahut mayus aae hum
gae the is tawaqqo' par ki taskin-e-nazar hogi
mohabbat ke safar mein KHwahish-e-takmil kya ma'ni
yahan takmil ki KHwahish bhi tauhin-e-safar hogi
misalon ke liye jis se chunenge log tahriren
wo meri zindagani ki kitab-e-mo'tabar hogi
KHabar kya thi 'razi' ulfat mein aisa waqt aaega
ki din guzrega hans kar raat ro ro ke basar hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.