tumhaare husn ke jalwe baham nahin hain miyan
tumhāre husn ke jalve baham nahīñ haiñ miyāñ
nahīñ haiñ ab vo tumhāre karam nahīñ haiñ miyāñ
rah-e-adam ke muqābil nahīñ majāl-e-vajūd
sitam to ye hai ki ham haiñ adam nahīñ haiñ miyāñ
ye mānte haiñ ki qatra haiñ ek paanī kā
magar vajūd ke dariyā meñ zam nahīñ haiñ miyāñ
chale bhī jā.eñge kaahe kī jaldiyāñ haiñ tumheñ
abhī ruko abhī ham tāza-dam nahīñ haiñ miyāñ
hameñ na Dhaao ki mushkil se ham khaḌe hue haiñ
sitam-gazīda to haiñ ḳhud sitam nahīñ haiñ miyāñ
hazār baar isī zindagī se guzre haiñ
tumhāre ḳhizr se kam-umr ham nahīñ haiñ miyāñ
yahāñ koī kabhī vāpas palaT nahīñ saktā
yahāñ kisī ke bhī ulTe qadam nahīñ haiñ miyāñ
harīm-e-dil meñ koī lā-sharīk hai ki nahīñ
magar ye tai hai vo pahle sanam nahīñ haiñ miyāñ
ab is jahāñ meñ hamārā agar nahīñ hai ḳhudā
ḳhudā ke ham bhī ḳhudā kī qasam nahīñ hai miyāñ
ye māl-o-daulat-e-duniyā ye rishta-o-paivand
ye rozgār ke ġham haiñ ye ġham nahīñ haiñ miyāñ
tumhaare husn ke jalwe baham nahin hain miyan
nahin hain ab wo tumhaare karam nahin hain miyan
rah-e-adam ke muqabil nahin majal-e-wajud
sitam to ye hai ki hum hain adam nahin hain miyan
ye mante hain ki qatra hain ek pani ka
magar wajud ke dariya mein zam nahin hain miyan
chale bhi jaenge kahe ki jaldiyan hain tumhein
abhi ruko abhi hum taza-dam nahin hain miyan
hamein na Dhao ki mushkil se hum khaDe hue hain
sitam-gazida to hain KHud sitam nahin hain miyan
hazar bar isi zindagi se guzre hain
tumhaare KHizr se kam-umr hum nahin hain miyan
yahan koi kabhi wapas palaT nahin sakta
yahan kisi ke bhi ulTe qadam nahin hain miyan
harim-e-dil mein koi la-sharik hai ki nahin
magar ye tai hai wo pahle sanam nahin hain miyan
ab is jahan mein hamara agar nahin hai KHuda
KHuda ke hum bhi KHuda ki qasam nahin hai miyan
ye mal-o-daulat-e-duniya ye rishta-o-paiwand
ye rozgar ke gham hain ye gham nahin hain miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.