tumhaare husn ki jab tak bahaar baqi hai
tumhāre husn kī jab tak bahār baaqī hai
jo chāho zulm karo iḳhtiyār baaqī hai
gayā jo ruuTh ke mujh se vo phir nahīñ lauTā
abhī bhī us kā mujhe intizār baaqī hai
na chain aa.egā dil ko baġhair tere sanam
tirī vafā pe mirā e.atibār baaqī hai
qarār aa.egā dil ko mire tujhe pā kar
tirī judā.ī kā is dil pe baar baaqī hai
mire ḳhudā tū hī 'ramman' kī laaj rakh lenā
tire karam ke sahāre ye pyaar baaqī hai
tumhaare husn ki jab tak bahaar baqi hai
jo chaho zulm karo iKHtiyar baqi hai
gaya jo ruTh ke mujh se wo phir nahin lauTa
abhi bhi us ka mujhe intizar baqi hai
na chain aaega dil ko baghair tere sanam
teri wafa pe mera eatibar baqi hai
qarar aaega dil ko mere tujhe pa kar
teri judai ka is dil pe bar baqi hai
mere KHuda tu hi 'ramman' ki laj rakh lena
tere karam ke sahaare ye pyar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.