tumhaare husn ko taswir-e-baam kar denge
tumhāre husn ko tasvīr-e-bām kar deñge
ġhazal pe aa.e to matl.a meñ kaam kar deñge
muḳhālifīn kā sab intizām kar deñge
na maane log to vo qatl-e-ām kar deñge
hamāre sāmne mat kar ghamanD hukūmat kā
abhī zarā meñ tujhe be-maqām kar deñge
baḌhāo tez qadam manzileñ bulātī haiñ
ye rāhbar haiñ ye raste meñ shaam kar deñge
ham aur kyā na.ī pīḌhī ko deñ virāsat meñ
jo dil meñ zaḳhm haiñ bachchoñ ke naam kar deñge
sharāb piite hī ġham aur bhī ubhar aa.e
chale the dard ko tahlīl-e-jām kar deñge
'niyāz' likh ke ham us kī muḳhālifat meñ ġhazal
qalam ko qābil-e-sad-ehtirām kar deñge
tumhaare husn ko taswir-e-baam kar denge
ghazal pe aae to matla mein kaam kar denge
muKHalifin ka sab intizam kar denge
na mane log to wo qatl-e-am kar denge
hamare samne mat kar ghamanD hukumat ka
abhi zara mein tujhe be-maqam kar denge
baDhao tez qadam manzilen bulati hain
ye rahbar hain ye raste mein sham kar denge
hum aur kya nai piDhi ko den wirasat mein
jo dil mein zaKHm hain bachchon ke nam kar denge
sharab pite hi gham aur bhi ubhar aae
chale the dard ko tahlil-e-jam kar denge
'niyaz' likh ke hum us ki muKHalifat mein ghazal
qalam ko qabil-e-sad-ehtiram kar denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.