tumhaare husn se raushan sahar ko dekhte hain
tumhāre husn se raushan sahar ko dekhte haiñ
tumhāre husn se shams-o-qamar ko dekhte haiñ
tumhāre husn se ham har bashar ko dekhte haiñ
tumhāre husn se ham īshvar ko dekhte haiñ
tumhāre husn se chamkī hai shaad merī zamīn
so ahl-e-arsh jhuke paak sar ko dekhte haiñ
tumhāre husn se sone ke ho ga.e haiñ hurūf
to shā.iroñ meñ bhī ifrāt-e-zar ko dekhte haiñ
tumhāre husn se qānūn kal-adam haiñ tamām
so munsifīn tumhārī nazar ko dekhte haiñ
tumhaare husn se raushan sahar ko dekhte hain
tumhaare husn se shams-o-qamar ko dekhte hain
tumhaare husn se hum har bashar ko dekhte hain
tumhaare husn se hum ishwar ko dekhte hain
tumhaare husn se chamki hai shad meri zamin
so ahl-e-arsh jhuke pak sar ko dekhte hain
tumhaare husn se sone ke ho gae hain huruf
to shairon mein bhi ifraat-e-zar ko dekhte hain
tumhaare husn se qanun kal-adam hain tamam
so munsifin tumhaari nazar ko dekhte hain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 109)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.