tumhaare ishq ne itna sabaq sikhaya hai
tumhāre 'ishq ne itnā sabaq sikhāyā hai
sar apnā ġhair ke dar par nahīñ jhukāyā hai
use na roko abhī thoḌā raqs karne do
abhī nayā nayā ye mai-kade meñ aayā hai
Dare hue se parinde haiñ gul haiñ pazhmurda
ye kis balā kā hamāre chaman pe saaya hai
tumheñ bhī karnī hai tā'mīr ik na.ī kashtī
tumhāre sāmne phir imtihān aayā hai
yahāñ se tum ko akele hī lauTnā hogā
mohabbatoñ ke safar kā yahī kirāya hai
hamārī jeb se qīmat vasūl karnī thī
so aaj ham ko tamāsha dikhāne aayā hai
piyāla zahr kā hoñToñ pe jab rakhā us ne
ḳhabar milī koī jām-e-hayāt laayā hai
jafā samajh ke use bhuul jā.iye sāhib
kisī raqīb ne jaadū nahīñ karāyā hai
tumhaare 'ishq ne itna sabaq sikhaya hai
sar apna ghair ke dar par nahin jhukaya hai
use na roko abhi thoDa raqs karne do
abhi naya naya ye mai-kade mein aaya hai
Dare hue se parinde hain gul hain pazhmurda
ye kis bala ka hamare chaman pe saya hai
tumhein bhi karni hai ta'mir ek nai kashti
tumhaare samne phir imtihan aaya hai
yahan se tum ko akele hi lauTna hoga
mohabbaton ke safar ka yahi kiraya hai
hamari jeb se qimat wasul karni thi
so aaj hum ko tamasha dikhane aaya hai
piyala zahr ka honTon pe jab rakha us ne
KHabar mili koi jam-e-hayat laya hai
jafa samajh ke use bhul jaiye sahib
kisi raqib ne jadu nahin karaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.