tumhaare jism jab jab dhup mein kale paDe honge
tumhāre jism jab jab dhuup meñ kaale paḌe hoñge
hamārī bhī ġhazal ke paañv meñ chhāle paḌe hoñge
agar āñkhoñ pe gahrī niiñd ke taale paḌe hoñge
to kuchh ḳhvāboñ ko apnī jaan ke laale paḌe hoñge
ki jin kī sāzishoñ se ab hamārī jeb ḳhālī hai
vo apne haath jeboñ meñ kahīñ Daale paḌe hoñge
hamārī umr makḌī hai hameñ itnā batāne ko
badan par jhurriyoñ kī shakl meñ jaale paḌe hoñge
pahuñch paa.eñ na kyuuñ nazreñ kahīñ māyūs chehroñ tak
'kuñvar' rāhoñ meñ un kī kesh ghuñghrāle paḌe hoñge
tumhaare jism jab jab dhup mein kale paDe honge
hamari bhi ghazal ke panw mein chhaale paDe honge
agar aankhon pe gahri nind ke tale paDe honge
to kuchh KHwabon ko apni jaan ke lale paDe honge
ki jin ki sazishon se ab hamari jeb KHali hai
wo apne hath jebon mein kahin Dale paDe honge
hamari umr makDi hai hamein itna batane ko
badan par jhurriyon ki shakl mein jale paDe honge
pahunch paen na kyun nazren kahin mayus chehron tak
'kunwar' rahon mein un ki kesh ghunghrale paDe honge
- Book : Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. 113)
- Author : Kunwar Bechain
- Publication : Vani Prakashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.