tumhaare jism ko chhu kar mahak uTThi saba koi
tumhāre jism ko chhū kar mahak uTThī sabā koī
chalā ḳhushbū se ḳhushbū kā barābar silsila koī
bahut māyūs lauTī hai chaman se phir havā koī
ġhazal ke kahne vaale kah rahe haiñ marsiya koī
ḳhizāñ ke daur meñ gulshan ko kyā mahsūs hotā hai
ye nāzuk baat samjhegā bhī kaise bevafā koī
ye ham jāneñ hamārī naav jaane yā bhañvar jaane
hamārī kashmakash meñ ab na aa.e nā-ḳhudā koī
hamīñ ne jaan dī jis bāñkpan se jis qarīne se
ye hasrat rah ga.ī maqtal meñ aa kar dekhtā koī
sun ai patjhaḌ zamāna lag gayā terī hukūmat kā
guloñ ko ab nahīñ manzūr terā faisla koī
na jaane kyuuñ dhueñ kī ik lakīr uThtī hai is ghar se
kahīñ malbe ke nīche dab gayā jaltā diyā koī
abhī tak is zamīñ ke aadhe sar meñ dard baaqī hai
are chāragaro chhoḌo du'ā kar lo davā koī
tumhārī justujū meñ chhoḌ dī thī ham ne jannat bhī
vagarna is zamīñ par kaise hotā hādisa koī
irādoñ meñ zarā bijlī jagā ke dekh ai 'panchhī'
isī piñjre se niklegā chaman kā rāsta koī
tumhaare jism ko chhu kar mahak uTThi saba koi
chala KHushbu se KHushbu ka barabar silsila koi
bahut mayus lauTi hai chaman se phir hawa koi
ghazal ke kahne wale kah rahe hain marsiya koi
KHizan ke daur mein gulshan ko kya mahsus hota hai
ye nazuk baat samjhega bhi kaise bewafa koi
ye hum jaanen hamari naw jaane ya bhanwar jaane
hamari kashmakash mein ab na aae na-KHuda koi
hamin ne jaan di jis bankpan se jis qarine se
ye hasrat rah gai maqtal mein aa kar dekhta koi
sun ai patjhaD zamana lag gaya teri hukumat ka
gulon ko ab nahin manzur tera faisla koi
na jaane kyun dhuen ki ek lakir uThti hai is ghar se
kahin malbe ke niche dab gaya jalta diya koi
abhi tak is zamin ke aadhe sar mein dard baqi hai
are chaaragaro chhoDo du'a kar lo dawa koi
tumhaari justuju mein chhoD di thi hum ne jannat bhi
wagarna is zamin par kaise hota hadisa koi
iradon mein zara bijli jaga ke dekh ai 'panchhi'
isi pinjre se niklega chaman ka rasta koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.