tumhaare KHwab ki tabir hona chahta hun
tumhāre ḳhvāb kī ta.abīr honā chāhtā huuñ
mujhe dekho ki maiñ tasḳhīr honā chāhtā huuñ
jahāñ-gardī mujhe chaukhaT se bāhar khīñchtī hai
maiñ apne paaoñ kī zanjīr honā chāhtā huuñ
mujhe jhūTī hañsī ne khokhlā sā kar diyā hai
bahut afsurda-o-dil-gīr honā chāhtā huuñ
bahut hī munjamid sā zindagī ne kar diyā hai
maiñ ab chaltī huī shamshīr honā chāhtā huuñ
uThā.e phir rahā huuñ kab se apne ḳhāl-o-ḳhad ko
tirī dīvār pe tasvīr honā chāhtā huuñ
kisī agle zamāne par khuleñge mere ma.anī
havā kī lauh par tahrīr honā chāhtā huuñ
mujhe 'shahzād' mere kīmiyā-dāñ se milā do
maiñ miTTī huuñ magar iksīr honā chāhtā huuñ
tumhaare KHwab ki tabir hona chahta hun
mujhe dekho ki main tasKHir hona chahta hun
jahan-gardi mujhe chaukhaT se bahar khinchti hai
main apne paon ki zanjir hona chahta hun
mujhe jhuTi hansi ne khokhla sa kar diya hai
bahut afsurda-o-dil-gir hona chahta hun
bahut hi munjamid sa zindagi ne kar diya hai
main ab chalti hui shamshir hona chahta hun
uThae phir raha hun kab se apne KHal-o-KHad ko
teri diwar pe taswir hona chahta hun
kisi agle zamane par khulenge mere mani
hawa ki lauh par tahrir hona chahta hun
mujhe 'shahzad' mere kimiya-dan se mila do
main miTTi hun magar iksir hona chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.