tumhaare KHwab se hum der tak bahalte hain
tumhāre ḳhvāb se ham der tak bahalte haiñ
phir apne dast-e-haqīqat se aañkh malte haiñ
hudūd-e-dasht-e-yaqīñ ham ko de rahī hai sadā
fasīl-e-shahr-e-gumāñ se ham ab nikalte haiñ
sunā hai 'ishq kā mai-ḳhāna hai vo mai-ḳhāna
jahāñ pe girte haiñ vo bhī jo kuchh sañbhalte haiñ
purānī mai na.e kāsoñ meñ Daalī jaatī hai
ḳhayāl-o-fikr kahāñ zāviye badalte haiñ
patā milā ki suḳhan-shahr meñ dakan kūcha
valī-o-tāj ke naqsh-e-qadam pe chalte haiñ
ai taaj dekh rahā huuñ tirī nigār-e-hayāt
tamām rang na.e haiñ jo is meñ Dhalte haiñ
tumhāre zikr se raushan hai bazm-e-tanhā.ī
tumhārī yaad ke dil meñ charāġh jalte haiñ
milī hai ham ko virāsat meñ shā'irī 'asrār'
ḳhayāl-o-fikr hamāre usī pe palte haiñ
tumhaare KHwab se hum der tak bahalte hain
phir apne dast-e-haqiqat se aankh malte hain
hudud-e-dasht-e-yaqin hum ko de rahi hai sada
fasil-e-shahr-e-guman se hum ab nikalte hain
suna hai 'ishq ka mai-KHana hai wo mai-KHana
jahan pe girte hain wo bhi jo kuchh sanbhalte hain
purani mai nae kason mein Dali jati hai
KHayal-o-fikr kahan zawiye badalte hain
pata mila ki suKHan-shahr mein dakan kucha
wali-o-taj ke naqsh-e-qadam pe chalte hain
ai taj dekh raha hun teri nigar-e-hayat
tamam rang nae hain jo is mein Dhalte hain
tumhaare zikr se raushan hai bazm-e-tanhai
tumhaari yaad ke dil mein charagh jalte hain
mili hai hum ko wirasat mein sha'iri 'asrar'
KHayal-o-fikr hamare usi pe palte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.