tumhaare milne ka kya e’tibar rah mein hai
tumhāre milne kā kyā e’tibār raah meñ hai
nazar kī āḳhirī had tak ġhubār raah meñ hai
chaman se duur nigār-e-bahār raah meñ hai
na jaane kis ke liye be-qarār raah meñ hai
khaḌī hai sub.h pashemāñ kisī ke āñgan meñ
koī to us ke liye sogvār raah meñ hai
ḳhudā hī jaane ki hai us ko justujū kis kī
vo āñsuoñ kī tarah be-qarār raah meñ hai
ye kaun ḳhaak uḌātā fareb se guzrā
nazar kī āḳhirī had tak ġhubār raah meñ hai
qadam qadam pe luTāne ko māya-e-hastī
lahūluhān koī shahsavār raah meñ hai
vo ham-safar to hai lekin hai ajnabī jaisā
'ajīb tarah kā ik intishār raah meñ hai
tum apne chāhne vāloñ kī bhiiḌ meñ dekho
hamārī tarah koī jāñ-nisār raah meñ hai
na dekh ham ko hiqārat se dekhne vaale
hamīñ sā koī yahāñ ġham-gusār raah meñ hai
nafas nafas meñ liye sho'la phir rahī hai havā
lage hai aisā koī sho.ala-bār raah meñ hai
ye buuñd buuñd sā ristā hai kyoñ lahū merā
na koī shahr na koī dayār raah meñ hai
ḳhudā kā lutf-o-karam bhī rahegā ham pe 'nazar'
agarche jaan kā dushman hazār raah meñ hai
tumhaare milne ka kya e’tibar rah mein hai
nazar ki aaKHiri had tak ghubar rah mein hai
chaman se dur nigar-e-bahaar rah mein hai
na jaane kis ke liye be-qarar rah mein hai
khaDi hai subh pasheman kisi ke aangan mein
koi to us ke liye sogwar rah mein hai
KHuda hi jaane ki hai us ko justuju kis ki
wo aansuon ki tarah be-qarar rah mein hai
ye kaun KHak uData fareb se guzra
nazar ki aaKHiri had tak ghubar rah mein hai
qadam qadam pe luTane ko maya-e-hasti
lahuluhan koi shahsawar rah mein hai
wo ham-safar to hai lekin hai ajnabi jaisa
'ajib tarah ka ek intishaar rah mein hai
tum apne chahne walon ki bhiD mein dekho
hamari tarah koi jaan-nisar rah mein hai
na dekh hum ko hiqarat se dekhne wale
hamin sa koi yahan gham-gusar rah mein hai
nafas nafas mein liye sho'la phir rahi hai hawa
lage hai aisa koi shoala-bar rah mein hai
ye bund bund sa rista hai kyon lahu mera
na koi shahr na koi dayar rah mein hai
KHuda ka lutf-o-karam bhi rahega hum pe 'nazar'
agarche jaan ka dushman hazar rah mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.