tumhaare nam ke charche bahut hain
tumhāre naam ke charche bahut haiñ
hamāre kaam ke charche bahut haiñ
mohabbat kī koī bhī dāstāñ ho
dil-e-nākām ke charche bahut haiñ
tumhāre saath jo ham ne guzārī
sanam us shaam ke charche bahut haiñ
hameñ jo sāqiyā tū ne pilāyā
yahāñ us jaam ke charche bahut haiñ
guloñ se pyaar duniyā ko nahīñ par
gul-o-gulfām ke charche bahut haiñ
agarche kaam hai sab kī zabāñ par
magar ārām ke charche bahut haiñ
yahāñ par nāmvar ke tazkire kam
yahāñ badnām ke charche bahut haiñ
miyāñ 'bedār' kitne meñ bike ho
tumhāre daam ke charche bahut haiñ
tumhaare nam ke charche bahut hain
hamare kaam ke charche bahut hain
mohabbat ki koi bhi dastan ho
dil-e-nakaam ke charche bahut hain
tumhaare sath jo hum ne guzari
sanam us sham ke charche bahut hain
hamein jo saqiya tu ne pilaya
yahan us jam ke charche bahut hain
gulon se pyar duniya ko nahin par
gul-o-gulfam ke charche bahut hain
agarche kaam hai sab ki zaban par
magar aaram ke charche bahut hain
yahan par namwar ke tazkire kam
yahan badnam ke charche bahut hain
miyan 'bedar' kitne mein bike ho
tumhaare dam ke charche bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.