tumhaare pas aane ka ishaara ho gaya hai
tumhāre paas aane kā ishāra ho gayā hai
har ik lamha tumhārā isti'āra ho gayā hai
ye maiñ hī huuñ jo itne ā.inoñ meñ aa gayā huuñ
ki zo'm-e-āshnā.ī pāra-pāra ho gayā hai
tumhārī chaah ik Thahrāv le aa.ī hai is meñ
ye dil dariyā thā pahle ab kināra ho gayā hai
tirī shamshīr tak kāñToñ pe chal kar aa rahe the
har ik neze pe ik gul āshkāra ho gayā hai
mire chāroñ taraf bas raushnī hī raushnī hai
ki ik sho'la mirī āñkhoñ kā taara ho gayā hai
tumhaare pas aane ka ishaara ho gaya hai
har ek lamha tumhaara isti'ara ho gaya hai
ye main hi hun jo itne aainon mein aa gaya hun
ki zo'm-e-ashnai para-para ho gaya hai
tumhaari chah ek Thahraw le aai hai is mein
ye dil dariya tha pahle ab kinara ho gaya hai
teri shamshir tak kanTon pe chal kar aa rahe the
har ek neze pe ek gul aashkara ho gaya hai
mere chaaron taraf bas raushni hi raushni hai
ki ek sho'la meri aankhon ka tara ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.