tumhaare paikar se phuTne wali raushni meri rah mein hai
tumhaare paikar se phuTne wali raushni meri rah mein hai
M Kothiyavi Rahi
MORE BYM Kothiyavi Rahi
tumhāre paikar se phūTne vaalī raushnī merī raah meñ hai
ye fāsla is liye gavārā ki ik haqīqat nigāh meñ hai
fasīl-e-ġham gir ga.ī to kis se lipaT ke ro.eñge shahr-e-yārāñ
ye soch kar jhuum uThā huuñ yaaro ki ġham ḳhud apnī panāh meñ hai
maiñ zindagī taj ke aa rahā huuñ isī liye muskurā rahā huuñ
zarā batāo ki kis liye ab kajī tumhārī kulāh meñ hai
tumhāre bāġhoñ se duur vīrān regzāroñ meñ gul khile haiñ
shafaq ufuq ke hisār meñ hai shaguftagī shāhrāh meñ hai
nadī nadī be-karāñ ḳhamoshī shajar shajar sogvār saa.e
ye raat bīmār ho ga.ī hai ki mubtalā phir gunāh meñ hai
udaas yādoñ ne bāb-e-afkār par ka.ī baar dastakeñ diiñ
magar qalam hai ki gul-fishāñ bint-e-shab kī ārām-gāh meñ hai
koī qalandar hai koī darvesh koī vahshī hai koī 'rāhī'
har ek shorīda-sar barā.e-sahar tirī ḳhānqāh meñ hai
tumhaare paikar se phuTne wali raushni meri rah mein hai
ye fasla is liye gawara ki ek haqiqat nigah mein hai
fasil-e-gham gir gai to kis se lipaT ke roenge shahr-e-yaran
ye soch kar jhum uTha hun yaro ki gham KHud apni panah mein hai
main zindagi taj ke aa raha hun isi liye muskura raha hun
zara batao ki kis liye ab kaji tumhaari kulah mein hai
tumhaare baghon se dur viran regzaron mein gul khile hain
shafaq ufuq ke hisar mein hai shaguftagi shahrah mein hai
nadi nadi be-karan KHamoshi shajar shajar sogwar sae
ye raat bimar ho gai hai ki mubtala phir gunah mein hai
udas yaadon ne bab-e-afkar par kai bar dastaken din
magar qalam hai ki gul-fishan bint-e-shab ki aaram-gah mein hai
koi qalandar hai koi darwesh koi wahshi hai koi 'rahi'
har ek shorida-sar barae-sahar teri KHanqah mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.