tumhaare rang ki bhi kya koi zanjir milti hai
tumhāre rang kī bhī kyā koī zanjīr miltī hai
nazar chāhe jidhar jaa.e bas ik tasvīr miltī hai
ye kaun ahmaq banātā hai na.ī duniyā ke mansūbe
yahāñ insān to milte nahīñ tā'mīr miltī hai
tarāzū ke ye baazū jaane kis ke kaam ā.eñge
hameñ insāf kab miltā hai bas taqrīr miltī hai
usī dar par chale jaao jahāñ sajde meñ the kal raat
davā.eñ bhī vahīñ se lo jahāñ tāsīr miltī hai
bahut aage nikal jaanā nahīñ ḳhvāboñ kī mastī meñ
ki āñkheñ kholte hī paañv meñ zanjīr miltī hai
tumhaare rang ki bhi kya koi zanjir milti hai
nazar chahe jidhar jae bas ek taswir milti hai
ye kaun ahmaq banata hai nai duniya ke mansube
yahan insan to milte nahin ta'mir milti hai
taraazu ke ye bazu jaane kis ke kaam aaenge
hamein insaf kab milta hai bas taqrir milti hai
usi dar par chale jao jahan sajde mein the kal raat
dawaen bhi wahin se lo jahan tasir milti hai
bahut aage nikal jaana nahin KHwabon ki masti mein
ki aankhen kholte hi panw mein zanjir milti hai
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 108)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.