tumhaare shahr mein pahuncha tha KHasta-jaan ban ke
tumhāre shahr meñ pahuñchā thā ḳhasta-jāñ ban ke
magar na aaya koī pesh meherbāñ ban ke
na jaane kaun se be-barg peḌ kā saaya
hamāre sar pe musallat hai āsmāñ ban ke
maiñ ghirne vaalā thā kāñToñ ke darmiyāñ lekin
guloñ ne thaam liyā mujh ko kārvāñ ban ke
kahāñ chhupā.eñge mujh ko ye nāqidān-e-adab
maiñ phail jā.ūñgā ghar ghar meñ dāstāñ ban ke
bakeñge shauq se bāzār-e-jins meñ yaaro
saje hue haiñ kitāboñ kī jo dukāñ ban ke
unhīñ se pūchhiye ab rāz-hā-e-kaun-o-makāñ
jo uḌ rahe haiñ sū-e-asmāñ dhuāñ ban ke
'kamāl' ranj-o-alam be-shumār haiñ lekin
maiñ jī rahā huuñ zamāne meñ kāmrāñ ban ke
tumhaare shahr mein pahuncha tha KHasta-jaan ban ke
magar na aaya koi pesh meherban ban ke
na jaane kaun se be-barg peD ka saya
hamare sar pe musallat hai aasman ban ke
main ghirne wala tha kanTon ke darmiyan lekin
gulon ne tham liya mujh ko karwan ban ke
kahan chhupaenge mujh ko ye naqidan-e-adab
main phail jaunga ghar ghar mein dastan ban ke
bakenge shauq se bazar-e-jins mein yaro
saje hue hain kitabon ki jo dukan ban ke
unhin se puchhiye ab raaz-ha-e-kaun-o-makan
jo uD rahe hain su-e-asman dhuan ban ke
'kamal' ranj-o-alam be-shumar hain lekin
main ji raha hun zamane mein kaamran ban ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.