tumhaare waste sare saja ke rakkhe hain
tumhaare waste sare saja ke rakkhe hain
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
tumhāre vāste saare sajā ke rakkhe haiñ
charāġh shaam se ham ne jalā ke rakkhe haiñ
hamārī jaan se baḌh kar aziiz haiñ ham ko
tire ḳhutūt jo dil se lagā ke rakkhe haiñ
qadam uThegā kahāñ se abhī nahīñ ma.alūm
abhī to kāġhazī ḳhāke banā ke rakkhe haiñ
ḳhudā.ī kyā hai ḳhudā ko bhī naaz ho jin par
abhī to ham ne vo sajde bachā ke rakkhe haiñ
ġharīb-e-shahr hī degā javāb bhī un ko
amīr-e-shahr ne fitne uThā ke rakkhe haiñ
tumhaare waste sare saja ke rakkhe hain
charagh sham se hum ne jala ke rakkhe hain
hamari jaan se baDh kar aziz hain hum ko
tere KHutut jo dil se laga ke rakkhe hain
qadam uThega kahan se abhi nahin malum
abhi to kaghazi KHake bana ke rakkhe hain
KHudai kya hai KHuda ko bhi naz ho jin par
abhi to hum ne wo sajde bacha ke rakkhe hain
gharib-e-shahr hi dega jawab bhi un ko
amir-e-shahr ne fitne uTha ke rakkhe hain
- Book : سائبان غزل (Pg. 46)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.