tumhaare wasl ka bas intizar baqi hai
tumhāre vasl kā bas intizār baaqī hai
maiñ rang rang huuñ lekin siñghār baaqī hai
havā.eñ tham ga.iiñ gard-o-ġhubār baiTh gayā
ik apnī zaat kā bas intishār baaqī hai
tamām umr pilāyā hai jis ko apnā lahū
us ek phuul pe ab tak nikhār baaqī hai
tumhāre naam kī ḳhushbū se rach ga.ī hai fazā
sadā kī guuñj meñ paiham pukār baaqī hai
jo ghāoñ bhar gayā us kā nishān hai ab tak
us ek zaḳhm meñ ab bhī bahār baaqī hai
jo raat hijr kī guzrī tumhāre pahlū meñ
us ek shab kā abhī tak ḳhumār baaqī hai
tum ek bhūlī huī dāstān ho lekin
tumhārī yaad meñ ik sogvār baaqī hai
tumhaare wasl ka bas intizar baqi hai
main rang rang hun lekin singhaar baqi hai
hawaen tham gain gard-o-ghubar baiTh gaya
ek apni zat ka bas intishaar baqi hai
tamam umr pilaya hai jis ko apna lahu
us ek phul pe ab tak nikhaar baqi hai
tumhaare nam ki KHushbu se rach gai hai faza
sada ki gunj mein paiham pukar baqi hai
jo ghaon bhar gaya us ka nishan hai ab tak
us ek zaKHm mein ab bhi bahaar baqi hai
jo raat hijr ki guzri tumhaare pahlu mein
us ek shab ka abhi tak KHumar baqi hai
tum ek bhuli hui dastan ho lekin
tumhaari yaad mein ek sogwar baqi hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 482)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.