tumhaare zulm ki sare jahan tak baat ja pahunchi
tumhaare zulm ki sare jahan tak baat ja pahunchi
Shabbar Jilani Qamri
MORE BYShabbar Jilani Qamri
tumhāre zulm kī saare jahāñ tak baat jā pahuñchī
kahāñ se baat niklī aur kahāñ tak baat jā pahuñchī
ġham-e-pinhāñ kī fariyād-o-fuġhāñ tak baat jā pahuñchī
chhupā.ī laakh lekin har zabāñ tak baat jā pahuñchī
huī pahle to kuchh aapas meñ an-ban bāda-ḳhvāroñ meñ
baḌhī jab baat to pīr-e-muġhāñ tak baat jā pahuñchī
bahut kho.e hue the ham javānī kī bahāroñ meñ
yakāyak hosh aaya jab ḳhizāñ tak baat jā pahuñchī
mire mātam ko tinke aa rahe haiñ uḌ ke gulshan se
qafas kā zikr kyā ab āshiyāñ tak baat jā pahuñchī
garebān-e-sahar kī dhajjiyāñ uḌ jā.eñgī 'shabbar'
agar mere junūñ kī āsmāñ tak baat jā pahuñchī
tumhaare zulm ki sare jahan tak baat ja pahunchi
kahan se baat nikli aur kahan tak baat ja pahunchi
gham-e-pinhan ki fariyaad-o-fughan tak baat ja pahunchi
chhupai lakh lekin har zaban tak baat ja pahunchi
hui pahle to kuchh aapas mein an-ban baada-KHwaron mein
baDhi jab baat to pir-e-mughan tak baat ja pahunchi
bahut khoe hue the hum jawani ki bahaaron mein
yakayak hosh aaya jab KHizan tak baat ja pahunchi
mere matam ko tinke aa rahe hain uD ke gulshan se
qafas ka zikr kya ab aashiyan tak baat ja pahunchi
gareban-e-sahar ki dhajjiyan uD jaengi 'shabbar'
agar mere junun ki aasman tak baat ja pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.