tumhaare zulm ko bhi hum wafa samajhte hain
tumhāre zulm ko bhī ham vafā samajhte haiñ
adā-o-nāz ko apnī qazā samajhte haiñ
junūn-e-ishq meñ ham kyā se kyā samajhte haiñ
tumhārī shaan ko shān-e-ḳhudā samajhte haiñ
huzūr aap haiñ husn-o-jamāl ke bande
use na pūchhiye ham aur kyā samajhte haiñ
parī se huur se shams-o-qamar se behtar haiñ
ham un ke husn ko shān-e-ḳhudā samajhte haiñ
sitam-shi.ār samajhne lage haiñ ham tujh ko
vo aur haiñ jo tujhe bā-vafā samajhte haiñ
ye rāz-e-ishq chhupāne se chhup nahīñ saktā
ki ab to ġhair hameñ aap kā samajhte haiñ
marīz-e-ishq hue jam.a is tamanna par
dar-e-huzūr ko dārushshifā samajhte haiñ
tire laboñ meñ hai ik rāz-e-zindagī pinhāñ
tirī nigāh ko tīr-e-qazā samajhte haiñ
huā ye hazrat-e-'sanjar' ko āj-kal saudā
kisī kī yaad ko yād-e-ḳhudā samajhte haiñ
tumhaare zulm ko bhi hum wafa samajhte hain
ada-o-naz ko apni qaza samajhte hain
junun-e-ishq mein hum kya se kya samajhte hain
tumhaari shan ko shan-e-KHuda samajhte hain
huzur aap hain husn-o-jamal ke bande
use na puchhiye hum aur kya samajhte hain
pari se hur se shams-o-qamar se behtar hain
hum un ke husn ko shan-e-KHuda samajhte hain
sitam-shiar samajhne lage hain hum tujh ko
wo aur hain jo tujhe ba-wafa samajhte hain
ye raaz-e-ishq chhupane se chhup nahin sakta
ki ab to ghair hamein aap ka samajhte hain
mariz-e-ishq hue jama is tamanna par
dar-e-huzur ko darushshifa samajhte hain
tere labon mein hai ek raaz-e-zindagi pinhan
teri nigah ko tir-e-qaza samajhte hain
hua ye hazrat-e-'sanjar' ko aaj-kal sauda
kisi ki yaad ko yaad-e-KHuda samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.