tumhaari aarzu tum se kahin baDh kar hasin nikli
tumhaari aarzu tum se kahin baDh kar hasin nikli
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
tumhārī aarzū tum se kahīñ baḌh kar hasīñ niklī
ki duniyā kī har ik shai se yahī dil ke qarīñ niklī
maiñ samjhā yaad bhī tark-e-ta.alluq par to aa.egī
magar jab dil TaTolā hai vahīñ ye jāguzīñ niklī
abhī kuchh aur bhī khelo mire chāhat bhare dil se
abhī bhī zaḳhm kam kam haiñ abhī hasrat nahīñ niklī
sar-e-mahfil kiyā rusvā mujhe terī mohabbat ne
jhukī jo naam par tere vo merī hī jabīñ niklī
nigāhoñ ne tujhe DhūñDā tujhe dil se pukārā hai
nazar aa.ī na jo sūrat vo sūrat dil-nashīñ niklī
hai do hī din kī umr-e-gul magar zinda-dilī dekho
tabassum lab pe raqsāñ hai fazā hargiz nahīñ niklī
jahāñ par sarhadeñ dair-o-haram kī ḳhatm hotī haiñ
vahīñ par nūr-e-īmāñ hai vahīñ rāh-e-yaqīñ niklī
hamārī zindagī dariyā kī mauj-e-muztarib sī hai
kahīñ ubhrī kahīñ machlī kahīñ Duubī kahīñ niklī
uThā kartī haiñ maujoñ kī tarah hī hasrateñ dil meñ
na.ī kitnī ubhar aa.eñ jo ik hasrat kahīñ niklī
shab-e-furqat 'habīb' apnā na koī kaam kā niklā
na aañsū bā-asar nikle na āh-e-ātishīñ niklī
tumhaari aarzu tum se kahin baDh kar hasin nikli
ki duniya ki har ek shai se yahi dil ke qarin nikli
main samjha yaad bhi tark-e-talluq par to aaegi
magar jab dil TaTola hai wahin ye jaguzin nikli
abhi kuchh aur bhi khelo mere chahat bhare dil se
abhi bhi zaKHm kam kam hain abhi hasrat nahin nikli
sar-e-mahfil kiya ruswa mujhe teri mohabbat ne
jhuki jo nam par tere wo meri hi jabin nikli
nigahon ne tujhe DhunDa tujhe dil se pukara hai
nazar aai na jo surat wo surat dil-nashin nikli
hai do hi din ki umr-e-gul magar zinda-dili dekho
tabassum lab pe raqsan hai faza hargiz nahin nikli
jahan par sarhaden dair-o-haram ki KHatm hoti hain
wahin par nur-e-iman hai wahin rah-e-yaqin nikli
hamari zindagi dariya ki mauj-e-muztarib si hai
kahin ubhri kahin machli kahin Dubi kahin nikli
uTha karti hain maujon ki tarah hi hasraten dil mein
nai kitni ubhar aaen jo ek hasrat kahin nikli
shab-e-furqat 'habib' apna na koi kaam ka nikla
na aansu ba-asar nikle na aah-e-atishin nikli
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 72)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.