tumhaari basti mein karKHana laga hua hai
tumhārī bastī meñ kārḳhāna lagā huā hai
hamāre jaisoñ kā āb-o-dāna lagā huā hai
yahāñ koī chiiz bhī nahīñ ho rahī hai ta.amīr
ye sab abas toḌnā banānā lagā huā hai
mirī ravish to zamāne se thoḌī muḳhtalif hai
mire ta.āqub meñ kyoñ zamāna lagā huā hai
ik aise ghoḌe kī baag hāthoñ meñ dī ga.ī hai
jise muqaddar kā tāziyāna lagā huā hai
maiñ raat ke āḳhirī pahar se ye kah rahā huuñ
ki mez par dopahar kā khānā lagā huā hai
vo kyā ki sab tishna-kāmiyāñ juuñ kī tuuñ paḌī haiñ
ye kyā ki dariyā kā ābyāna lagā huā hai
udhar kisī aur hī zamāne kā tai huā thā
idhar koī aur hī zamāna lagā huā hai
hai rūh-parvar 'azīz' ye jāñkanī kā aalam
ki yaar logoñ kā aanā jaanā lagā huā hai
tumhaari basti mein karKHana laga hua hai
hamare jaison ka aab-o-dana laga hua hai
yahan koi chiz bhi nahin ho rahi hai tamir
ye sab abas toDna banana laga hua hai
meri rawish to zamane se thoDi muKHtalif hai
mere taaqub mein kyon zamana laga hua hai
ek aise ghoDe ki bag hathon mein di gai hai
jise muqaddar ka taziyana laga hua hai
main raat ke aaKHiri pahar se ye kah raha hun
ki mez par dopahar ka khana laga hua hai
wo kya ki sab tishna-kaamiyan jun ki tun paDi hain
ye kya ki dariya ka aabyana laga hua hai
udhar kisi aur hi zamane ka tai hua tha
idhar koi aur hi zamana laga hua hai
hai ruh-parwar 'aziz' ye jaankani ka aalam
ki yar logon ka aana jaana laga hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.