tumhaari bazm mein jaane ye kaisa aalam hai
tumhārī bazm meñ jaane ye kaisā aalam hai
charāġh jitne ziyāda haiñ raushnī kam hai
ravish ravish pe haiñ ḳhūñ-reziyoñ ke hangāme
qadam qadam pe yahāñ zindagī kā mātam hai
chaman meñ phuul khile haiñ magar udaas udaas
bahār aa.ī hai lekin ḳhizāñ kā aalam hai
vo aañkh aañkh nahīñ jis meñ sail-e-ashk na ho
vo phuul ḳhaar hai jo be-niyāz-e-shabnam hai
ḳhizāñ kī god meñ luTtī rahī hayāt-e-chaman
magar hunūz vahī bāġhbāñ kā aalam hai
haiñ yuuñ to raunaqeñ mahfil meñ aap kī lekin
bahār kam hai ḳhushī kam hai dilkashī kam hai
jidhar bhī dekhiye insāniyat nahīñ miltī
ye kis maqām pe 'armān' ibn-e-ādam hai
tumhaari bazm mein jaane ye kaisa aalam hai
charagh jitne ziyaada hain raushni kam hai
rawish rawish pe hain KHun-reziyon ke hangame
qadam qadam pe yahan zindagi ka matam hai
chaman mein phul khile hain magar udas udas
bahaar aai hai lekin KHizan ka aalam hai
wo aankh aankh nahin jis mein sail-e-ashk na ho
wo phul KHar hai jo be-niyaz-e-shabnam hai
KHizan ki god mein luTti rahi hayat-e-chaman
magar hunuz wahi baghban ka aalam hai
hain yun to raunaqen mahfil mein aap ki lekin
bahaar kam hai KHushi kam hai dilkashi kam hai
jidhar bhi dekhiye insaniyat nahin milti
ye kis maqam pe 'arman' ibn-e-adam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.