tumhaari be-niyazi to hamari bebasi lazim
tumhārī be-niyāzī to hamārī bebasī lāzim
agar tum hī nahīñ sunte to apnī ḳhāmushī lāzim
zabān-e-hāl kyā bole sarishk-e-zaḳhm kyā Tapke
yahāñ ḳhāmoshiyoñ par bhī hai aksar ḳhāmushī lāzim
manāzil umr kī zāhir ma.āl-e-zindagī lāzim
junūñ kī sarḳhushī behtar surūr-e-mai-kashī lāzim
jamāl-e-zāt-e-vāhid kī ka.ī sāñchoñ meñ Dhal Dhal ke
butoñ tak baat pahuñchī hai to un kī bandagī lāzim
sukūn-o-āfiyat ke shahr haiñ gumnām vīrāne
magar un tak pahuñchne ke liye āvārgī lāzim
shu.ūr-e-zarf meñ aa kar sarāpā zarf huuñ 'rāhī'
nazar tishna hai lab tishna to dil kī tishnagī lāzim
tumhaari be-niyazi to hamari bebasi lazim
agar tum hi nahin sunte to apni KHamushi lazim
zaban-e-haal kya bole sarishk-e-zaKHm kya Tapke
yahan KHamoshiyon par bhi hai aksar KHamushi lazim
manazil umr ki zahir maal-e-zindagi lazim
junun ki sarKHushi behtar surur-e-mai-kashi lazim
jamal-e-zat-e-wahid ki kai sanchon mein Dhal Dhal ke
buton tak baat pahunchi hai to un ki bandagi lazim
sukun-o-afiyat ke shahr hain gumnam virane
magar un tak pahunchne ke liye aawargi lazim
shuur-e-zarf mein aa kar sarapa zarf hun 'rahi'
nazar tishna hai lab tishna to dil ki tishnagi lazim
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.