tumhaari be-ruKHi ne rang aaKHir kuchh to dikhlaya
tumhārī be-ruḳhī ne rang āḳhir kuchh to dikhlāyā
kisī ko rakh ke phūloñ meñ hameñ kāñToñ meñ tulvāyā
jahāñ meñ haath phailāne ke bhī andāz hote haiñ
hameñ ab tak gadā.ī kā salīqa hī nahīñ aayā
mohabbat jis ko hotī hai vo muñh dekhe kī hotī hai
ġhazab hai mujh pe maiñ is 'ishq par īmān le aaya
ḳhulūs aur rāstī meñ kyā paḌā hai chhoḌ dīvāne
havas ne mujh ko haq kī raah se be-tarh bhaTkāyā
vo nikle 'ashk' jin ko gauhar-e-nāyāb samjhe the
bharam TuuTā to dekhā ek dhoka aur bhī khāyā
tumhaari be-ruKHi ne rang aaKHir kuchh to dikhlaya
kisi ko rakh ke phulon mein hamein kanTon mein tulwaya
jahan mein hath phailane ke bhi andaz hote hain
hamein ab tak gadai ka saliqa hi nahin aaya
mohabbat jis ko hoti hai wo munh dekhe ki hoti hai
ghazab hai mujh pe main is 'ishq par iman le aaya
KHulus aur rasti mein kya paDa hai chhoD diwane
hawas ne mujh ko haq ki rah se be-tarh bhaTkaya
wo nikle 'ashk' jin ko gauhar-e-nayab samjhe the
bharam TuTa to dekha ek dhoka aur bhi khaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.