tumhaari did ki rahen talash karti hain
tumhārī diid kī rāheñ talāsh kartī haiñ
tumheñ udaas nigāheñ talāsh kartī haiñ
ab un kī aañkh khulī hai ki jab vo dil na rahā
jise ab un kī nigāheñ talāsh kartī haiñ
vo jis ko luuT liyā thā kabhī mohabbat ne
ab us shabāb ko aaheñ talāsh kartī haiñ
maiñ vo musāfir-e-rāh-e-vafā huuñ ab jis ko
tumhāre shahr kī rāheñ talāsh kartī haiñ
talāsh-e-rāh meñ kuchh raah bhuul jaate haiñ
kuchh aise haiñ jinheñ rāheñ talāsh kartī haiñ
shab-e-firāq-e-tasavvur meñ mujh ko 'soz' aksar
kisī kī marmarīñ bāheñ talāsh kartī hiiñ
tumhaari did ki rahen talash karti hain
tumhein udas nigahen talash karti hain
ab un ki aankh khuli hai ki jab wo dil na raha
jise ab un ki nigahen talash karti hain
wo jis ko luT liya tha kabhi mohabbat ne
ab us shabab ko aahen talash karti hain
main wo musafir-e-rah-e-wafa hun ab jis ko
tumhaare shahr ki rahen talash karti hain
talash-e-rah mein kuchh rah bhul jate hain
kuchh aise hain jinhen rahen talash karti hain
shab-e-firaq-e-tasawwur mein mujh ko 'soz' aksar
kisi ki marmarin bahen talash karti hin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.