tumhaari farzangi se kuchh kam nahin hai diwana-pan hamara
tumhārī farzāngī se kuchh kam nahīñ hai dīvāna-pan hamārā
tumheñ mubārak tumhārī hijrat hameñ mubārak vatan hamārā
jo gulsitānoñ kī shāh-rāhoñ pe apne bistar lagā na paa.e
vahī vahāñ jā ke kah rahe haiñ nahīñ hai koī chaman hamārā
Ba-qaul-e-'iqbāl' pahle pahle yahāñ lagā.e the jis ne Dere
vo kārvāñ aaj bhī basā hai kanār-e-gañg-o-jaman hamārā
ba.īd-e-aḳhlāq-o-ādamiyyat hai rahnumāoñ se bad-gumānī
kamāl-e-sāda-dilī to ye hai ki saath de rāhzan hamārā
sadā-e-nāqūs-e-but-kada par giraft kā mashvara na diije
ibādat-o-bandagī ke maan.e nahīñ hai jab barhaman hamārā
ye dūsrī baat hai ki hijrat na kar ke dar-dar kī ḳhaak chhānī
chane na bechegā 'josh' kī tarah zauq-e-sher-o-suḳhan hamārā
vatan kī is sar-zamīñ ko ai 'shād' kaun se dil se chhoḌ deñ ham
vatan kī jis sar-zamīñ pe guzrā hai daur-e-dār-o-rasan hamārā
tumhaari farzangi se kuchh kam nahin hai diwana-pan hamara
tumhein mubarak tumhaari hijrat hamein mubarak watan hamara
jo gulsitanon ki shah-rahon pe apne bistar laga na pae
wahi wahan ja ke kah rahe hain nahin hai koi chaman hamara
Ba-qaul-e-'iqbaal' pahle pahle yahan lagae the jis ne Dere
wo karwan aaj bhi basa hai kanar-e-gang-o-jaman hamara
baid-e-aKHlaq-o-adamiyyat hai rahnumaon se bad-gumani
kamal-e-sada-dili to ye hai ki sath de rahzan hamara
sada-e-naqus-e-but-kada par giraft ka mashwara na dije
ibaadat-o-bandagi ke mane nahin hai jab barhaman hamara
ye dusri baat hai ki hijrat na kar ke dar-dar ki KHak chhani
chane na bechega 'josh' ki tarah zauq-e-sher-o-suKHan hamara
watan ki is sar-zamin ko ai 'shad' kaun se dil se chhoD den hum
watan ki jis sar-zamin pe guzra hai daur-e-dar-o-rasan hamara
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 258)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.