tumhaari han se bahut raushni nikalti hai
tumhārī haañ se bahut raushnī nikaltī hai
ye kis bayāñ se bahut raushnī nikaltī hai
vo zaat parda-nashīñ hai magar maiñ hairāñ huuñ
ki āsmāñ se bahut raushnī nikaltī hai
basā huā hai tire til meñ ek anokhā jahān
aur us jahān se bahut raushnī nikaltī hai
maiñ chupke chupke tirā naam le to luuñ lekin
mirī zabāñ se bahut raushnī nikaltī hai
jahāñ-jahāñ se mujhe chūmtā rahā hai vo
vahāñ-vahāñ se bahut raushnī nikaltī hai
tū kis kī yaad meñ rotā hai rāt-bhar 'ahmad'
tire makāñ se bahut raushnī nikaltī hai
tumhaari han se bahut raushni nikalti hai
ye kis bayan se bahut raushni nikalti hai
wo zat parda-nashin hai magar main hairan hun
ki aasman se bahut raushni nikalti hai
basa hua hai tere til mein ek anokha jahan
aur us jahan se bahut raushni nikalti hai
main chupke chupke tera nam le to lun lekin
meri zaban se bahut raushni nikalti hai
jahan-jahan se mujhe chumta raha hai wo
wahan-wahan se bahut raushni nikalti hai
tu kis ki yaad mein rota hai raat-bhar 'ahmad'
tere makan se bahut raushni nikalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.