tumhaari mang mein sindur jab se dekha hai
tumhārī maañg meñ siñdūr jab se dekhā hai
hamāre sāmne tanhā.iyoñ kā chehra hai
ik aur 'umr guzārūñgā dasht-e-vahshat meñ
sunā ye hai ki abhī bastiyoñ meñ ḳhatra hai
chhupā rahā hai kisī karb ko kisī ġham ko
jo hañs rahā hai musalsal vo shaḳhs jhūTā hai
tumhāre baa'd maiñ is shahr meñ akelā thā
ye kaun hai jo mire saath saath chaltā hai
Dubo sakegā na tūfān-e-tīrgī us ko
jo āftāb mire zehn ne tarāshā hai
tumhaari mang mein sindur jab se dekha hai
hamare samne tanhaiyon ka chehra hai
ek aur 'umr guzarunga dasht-e-wahshat mein
suna ye hai ki abhi bastiyon mein KHatra hai
chhupa raha hai kisi karb ko kisi gham ko
jo hans raha hai musalsal wo shaKHs jhuTa hai
tumhaare ba'd main is shahr mein akela tha
ye kaun hai jo mere sath sath chalta hai
Dubo sakega na tufan-e-tirgi us ko
jo aaftab mere zehn ne tarasha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.