tumhaari muntazir rahon ke manzar dekh sakte the
tumhārī muntazir rāhoñ ke manzar dekh sakte the
agar aate to in āñkhoñ ko patthar dekh sakte the
taraqqī ne diyā hai kuchh bahut kuchh ham se chhīnā hai
ki pahle har javāñ chhat par kabūtar dekh sakte the
vo aisī aarzū thā jo mukammal jism rakhtā thā
vo aisā ḳhvāb thā ki jis ko chhū kar dekh sakte the
sunā hai vo darīcha ab musalsal band rahtā hai
jahāñ ham ḳhvāhishoñ ko bār-āvar dekh sakte the
parinde kaise paḌhte haiñ qasīde shān-e-vahdat meñ
sahar ke vaqt aa jaate to manzar dekh sakte the
ilāhī kyā hue pand-o-nasīhat karne vaale log
ki jo mujh ko yahāñ mujh se bhī behtar dekh sakte the
chalo ghar se to baunoñ ke sivā miltā nahīñ koī
kahāñ haiñ vo jinheñ qad ke barābar dekh sakte the
tumhaari muntazir rahon ke manzar dekh sakte the
agar aate to in aankhon ko patthar dekh sakte the
taraqqi ne diya hai kuchh bahut kuchh hum se chhina hai
ki pahle har jawan chhat par kabutar dekh sakte the
wo aisi aarzu tha jo mukammal jism rakhta tha
wo aisa KHwab tha ki jis ko chhu kar dekh sakte the
suna hai wo daricha ab musalsal band rahta hai
jahan hum KHwahishon ko bar-awar dekh sakte the
parinde kaise paDhte hain qaside shan-e-wahdat mein
sahar ke waqt aa jate to manzar dekh sakte the
ilahi kya hue pand-o-nasihat karne wale log
ki jo mujh ko yahan mujh se bhi behtar dekh sakte the
chalo ghar se to baunon ke siwa milta nahin koi
kahan hain wo jinhen qad ke barabar dekh sakte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.