tumhaari or se koi ishaara ho bhi sakta hai
tumhārī or se koī ishāra ho bhī saktā hai
hamārā dil kisī din phir tumhārā ho bhī saktā hai
zamīñ par paañv hoñ lekin nigāheñ āsmāñ par hoñ
bulandī par tumhārā bhī sitārā ho bhī saktā hai
maiñ aksar sochtā to huuñ tumhāre bin hī jī lūñgā
magar lagtā nahīñ tum bin guzārā ho bhī saktā hai
Dubā detā kisī ko bojh ḳhud kā hī samundar meñ
kisī insāñ ko tinke kā sahārā ho bhī saktā hai
miTā saktā hai sahrā bhī kisī kī tishnagī pal meñ
kisī ke vāste dariyā bhī khārā ho bhī saktā hai
anā ko chhoḌ kar gar tum lagā lo dil ye duniyā se
to ye saarā jahāñ ik din tumhārā ho bhī saktā hai
tumhaari or se koi ishaara ho bhi sakta hai
hamara dil kisi din phir tumhaara ho bhi sakta hai
zamin par panw hon lekin nigahen aasman par hon
bulandi par tumhaara bhi sitara ho bhi sakta hai
main aksar sochta to hun tumhaare bin hi ji lunga
magar lagta nahin tum bin guzara ho bhi sakta hai
Duba deta kisi ko bojh KHud ka hi samundar mein
kisi insan ko tinke ka sahaara ho bhi sakta hai
miTa sakta hai sahra bhi kisi ki tishnagi pal mein
kisi ke waste dariya bhi khaara ho bhi sakta hai
ana ko chhoD kar gar tum laga lo dil ye duniya se
to ye sara jahan ek din tumhaara ho bhi sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.