tumhaari phunk se kya farq paDne wala hai
tumhārī phūñk se kyā farq paḌne vaalā hai
ye sham.a vo hai jise āñdhiyoñ ne paalā hai
ġham-e-hayāt ne us par bhī bojh Daalā hai
ki jis ne hosh bhī apnā nahīñ sañbhālā hai
uḌā rahā hai vahī merī muflisī kā mazāq
ki jis ne sikkoñ meñ īmān bech Daalā hai
hamāre sabr ko tum buzdilī kā naam na do
isī ḳhamoshī meñ poshīda ik javālā hai
tumheñ ġhurūr hai tāqat pe zar pe kasrat pe
hameñ ye naaz ki hamrāh haq-ta.ālā hai
alāva is ke koī aur rāsta hī nahīñ
bahut samajh ke hī sho.aloñ meñ haath Daalā hai
hazār sāzish-e-paiham ke bāvajūd 'ejāz'
jahāñ meñ haqq-o-sadāqat kā bol-bālā hai
tumhaari phunk se kya farq paDne wala hai
ye shama wo hai jise aandhiyon ne pala hai
gham-e-hayat ne us par bhi bojh Dala hai
ki jis ne hosh bhi apna nahin sanbhaala hai
uDa raha hai wahi meri muflisi ka mazaq
ki jis ne sikkon mein iman bech Dala hai
hamare sabr ko tum buzdili ka nam na do
isi KHamoshi mein poshida ek jawala hai
tumhein ghurur hai taqat pe zar pe kasrat pe
hamein ye naz ki hamrah haq-taala hai
alawa is ke koi aur rasta hi nahin
bahut samajh ke hi shoalon mein hath Dala hai
hazar sazish-e-paiham ke bawajud 'ejaz'
jahan mein haqq-o-sadaqat ka bol-baala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.