tumhaari qaid-e-wafa se jo chhuT jaunga
tumhārī qaid-e-vafā se jo chhūT jā.ūñgā
azal se le ke abad tak maiñ TuuT jā.ūñgā
ḳhabar nahīñ hai kisī ko bhī ḳhastagī kī mirī
mujhe na haath lagāo ki TuuT jā.ūñgā
tumhārī merī rifāqat hai chand qaumoñ tak
tumhāre paañv kā chhālā huuñ phuuT jā.ūñgā
hazār naaz sahī mujh ko apnī qismat par
hinā-e-dast-e-nigārīñ huuñ chhūT jā.ūñgā
tumhārī bazm se uTh kar ye va.ada kartā huuñ
jahāñ bhī jā.ūñgā ab jhūT-mūT jā.ūñgā
tumhaari qaid-e-wafa se jo chhuT jaunga
azal se le ke abad tak main TuT jaunga
KHabar nahin hai kisi ko bhi KHastagi ki meri
mujhe na hath lagao ki TuT jaunga
tumhaari meri rifaqat hai chand qaumon tak
tumhaare panw ka chhaala hun phuT jaunga
hazar naz sahi mujh ko apni qismat par
hina-e-dast-e-nigarin hun chhuT jaunga
tumhaari bazm se uTh kar ye wada karta hun
jahan bhi jaunga ab jhuT-muT jaunga
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 201)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.