tumhaari tegh-e-nigah-e-moajiz-numa ne be-maut jis ko mara
tumhārī teġh-e-nigāh-e-mo.ajiz-numā ne be-maut jis ko maarā
to pāsbānī meñ us shahīd-e-vafā kī aakar ajal rahī hai
kisī kī juTTī bhañveñ haiñ yā-rab ki zulfiqār-e-alī ke naqshe
jo bait likkhī sifat meñ us kī hamesha zarbul-masal rahī hai
ye rang hai ishq-e-jāñ-guzā kā lahū ke reze na in ko jaano
ye qāsh-e-dil hai jo āñsuoñ meñ pighal pighal kar nikal rahī hai
zabān jaltī hai kyā batā.ūñ maiñ soz-e-ulfat kā haal nāseh
dil-o-jigar kyā ki sham.a-āsā rag-e-gulū ab to jal rahī hai
nahīñ hai go mujh ko mashq aslan magar maiñ faiz-e-azal ke qurbāñ
mushā.ere meñ 'tabīb'-e-ḳhush-go hamesha apnī ġhazal rahī hai
tumhaari tegh-e-nigah-e-moajiz-numa ne be-maut jis ko mara
to pasbani mein us shahid-e-wafa ki aakar ajal rahi hai
kisi ki juTTi bhanwen hain ya-rab ki zulfiqar-e-ali ke naqshe
jo bait likkhi sifat mein us ki hamesha zarbul-masal rahi hai
ye rang hai ishq-e-jaan-guza ka lahu ke reze na in ko jaano
ye qash-e-dil hai jo aansuon mein pighal pighal kar nikal rahi hai
zaban jalti hai kya bataun main soz-e-ulfat ka haal naseh
dil-o-jigar kya ki shama-asa rag-e-gulu ab to jal rahi hai
nahin hai go mujh ko mashq aslan magar main faiz-e-azal ke qurban
mushaere mein 'tabib'-e-KHush-go hamesha apni ghazal rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.