tumhaari ulfat ka qatra qatra nikalna hai
tumhārī ulfat kā qatra qatra nikālnā hai
so chashm-e-tar se lahū kā dariyā nikālnā hai
abhī to maiñ ne tujhe nikālā hai apne dil se
abhī to āñkhoñ se terā chehra nikālnā hai
paḌī hai pīchhe ka.ī dinoñ se hasīn laḌkī
hasīn laḌkī balā hai sadqa nikālnā hai
ab apne dil meñ mujhe basānā hai karbalā ko
ab apne dil se dayār-e-kūfa nikālnā hai
ġharīb laḌkī se ishq karnā hai mujh ko 'mahvar'
aur apne andar se shāhzāda nikālnā hai
tumhaari ulfat ka qatra qatra nikalna hai
so chashm-e-tar se lahu ka dariya nikalna hai
abhi to main ne tujhe nikala hai apne dil se
abhi to aankhon se tera chehra nikalna hai
paDi hai pichhe kai dinon se hasin laDki
hasin laDki bala hai sadqa nikalna hai
ab apne dil mein mujhe basana hai karbala ko
ab apne dil se dayar-e-kufa nikalna hai
gharib laDki se ishq karna hai mujh ko 'mahwar'
aur apne andar se shahzada nikalna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.