tumhaari wapsi hone ka andaza na ho jae
tumhārī vāpsī hone kā andāza na ho jaa.e
kahīñ bikhrī huī miTTī tar-o-tāza na ho jaa.e
farishtoñ tum ne be āvāz andeshe nahīñ dekhe
yahī dīvār aage baḌh ke darvāza na ho jaa.e
baḌī ḳhvāhish hai phir se zindagī hamvār karne kī
magar us se kahīñ mismār shīrāza na ho jaa.e
abhī tak to natīja bhī pas-e-dīvār hai jānāñ
tirī is mahviyat se kal kā andāza na ho jaa.e
shabāhat pe adākārī asar-andāz hotī hai
abhī tak to ye chehrā hai kahīñ ġhāza na ho jaa.e
tumhaari wapsi hone ka andaza na ho jae
kahin bikhri hui miTTi tar-o-taza na ho jae
farishton tum ne be aawaz andeshe nahin dekhe
yahi diwar aage baDh ke darwaza na ho jae
baDi KHwahish hai phir se zindagi hamwar karne ki
magar us se kahin mismar shiraaza na ho jae
abhi tak to natija bhi pas-e-diwar hai jaanan
teri is mahwiyat se kal ka andaza na ho jae
shabahat pe adakari asar-andaz hoti hai
abhi tak to ye chehra hai kahin ghaza na ho jae
- Book : Chaa.ndii kaa varaq (Pg. 27)
- Author : Ahmad Kamal Parvaazii
- Publication : Surkhawab Publications Ujjain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.